Sar Mai Shadeed Dard (Head Ache)::

Mai 25 sal se adhay sar dard mai mubtala hon  doctoron, hakimon or homi pethic mukhtalif kisam ky wazaif bhi kar chuka hon lakin dard km nahi ho raha  8, 10  sal pahlay madina munawarra mai aik buzurg se mulaqat howi onhain apny sar dard ki shikayat ki  os ne mughay  "Bismillahirrahmanirrahim" 441 bar parhny ko kaha  ALLAH tala ky fazal o karam se phir 8 10 sal se sar dard ki shikayat na howi ab phir dard shoro ho gya hai madina munawara mai hazrat ko talash kia to malom howa k wo inteqal kar chukay hain. ap se guzarish hai k apny zati amliat mai se koi mujrib wazifa bata dain k mery takleef khatam ho jai. is se pahly tamam wazaif per amal kr chuka hon per badkismati se faida nahi howa.
Wazifa::
        Ap khush naseeb hain k bar bar ap ko madina munawarra ki ziarat naseeb howi ALLAH ham sb ko ye sa'adat bar bar ata farmai Aameen. ap ko jis hasty ne wazifa bataya tha agar os se shafa yab na howy or wo hazrat inteqal kar gai thy to Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ki bargah mai apni takleef bayan ki hoty Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) jis tarah sahaba e karam k liye bemarion se nijat ka wasila thy isi tarah qiyamat tak ki omaton k liye bhi rohani, jismani hr qisam ki takalif k liye ala tarin zaria hain, ap k sar mai jahan dard hota hai aik bar dain(right) hath ki shahadat ki ungli se "Bismillahirrahmanirrahim" likhain or zuban se 9 dafa parhain phir dam karain In Sha ALLAH takleef khatam ho jai gy.
                                                                             By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment