Berozgari (Uneployement)::

Mughy rozgar ka masla hai. Kafi arsay sy choty choty nokrian kr k ghar ka kharcha chala raha hon. Sarkari nokri k liye bohat bhag dor ki hai lakin kamyabi nahi howi. Bachon k kharchay barh rahy hain or amadni  bohat  km hai. Koi aisa  mujarrib amal bata dain k jis se karobar mil jai, ya sarkari nokri mil jai or ya beroni mulk chala jao.

Wazifa::
Apni mehnat o koshish jari rakhain ALLAH karim barkat ata frmai ga. Is amal ko azmain in sha ALLAH ul Aziz rizk e farakh ky darwazi ALLAH karim khol day ga.. Jo amal bata raha hon ye barisaghir k jadid taren or mashahor tarin Aalim e Din  or  peer tarikat ka amal bata raha hon. Jin  ka ism e garami Shah Abdul Aziz Mohadis Dehalwihai, In ka farmoda o mojarib amal hai. Jis Qari  ko ALLAH karim ne  rizk e halal farakh se nawaza Wo hm sb mashrik walo ko apni dili duaon mai zaror yad rakhain, Amal ye hai k din k 10 bajy wazo kr ky char rakat nafal chasht k niat se ada karain.nimaz k bad phir sajday mai ja kr "104" bar "Ya Wahabo" parhain. Ye wazzifa halat e sajdy mai parhna hai or sajda nimaz pori parhni k bad alag se kia jai. Ye amal  hr mahinay k sat din tak karain.in sha ALLAH ALLAH sari umar rizk farakh naseeb farmai ga.
               


                                                 By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment