Dil Mai Ghabrahat (Lack Of Confidence)::

Mai madrasssay ka talib e ilam hon. 20 sepry hifaz kar chuka hon, mughayilm e din hasil karnay ka bohat shok hailakin mai jab imamat k liye agay hoata hon to dil mai ghabrahat aty hai awaz band ho jaty hai, kuch bhi nahi bol sakta, kabhi ye kafiat shoro mai hoty hai or kabhi darmian mai, is k sath sath zuban mai liknat bhi hai. zindagy k her kam mai shoro karty waqt dar lagta hai, hifaz ka sabak sunaty waqt  bhi ye masla kabhi kabhin hota hai. koi wazifa bata dain k dil mazbot ho jai or mai na dar ho jaon.

Wazifa::
Ilm e deen ki tahseel mojoda zamany mai bohat barhy sadat or bohat barhy zarorat hai khas kar kabaili muashry mai deni samagh bogh bohat zarori hai. Qurano hadis zahiri ilam k sath sath batini ilam ki taraf bi tawajah dain, kisi murshad e kamil se bhi nisbat banain is se shakbhsiat mai nikhar aye ga. Ilam mai barkat aty hai. masail in ki dua ki barkat se hal hoty hai. isha ki nemaz k bad "SORAH INSHIRAH" 21 bar parh kr seenay pr dam karain "YA QAVIYYU" 100 bar parh kar khud ko dam karain awal akhir 7 bar "DAROOD" parhain. din mai 100 bar "Darood e Pak" parhain.

No comments:

Post a Comment