Ghar Bach jai::

Chand sal pahlay mery shadi howi dor k rishtedaron mai jo k ammi k taraf k rishtedar hain koi bhi is reshty per tayar na tha.ammi ne ye samag kar k mery rishtedar hain rishta tay kr diya, aik mahinay k andar mery shadi bhi ho gai, shadi kay pahlay din hi sab ne apna rawiya mugh per zahir kar diya, sas dawar nand sab mugh se bury tariqay se paish aye. shohar bat bat per marta tha shadi kay iptedai dinon mai koi khushi nahi mili balky dukh hi dukh milay, roz roz k larai jhagron se tang a kar mai maiky chaly gai or aik sal chay mahinay wahan guzary is doran barhy operation se baita bhi paia howa betay ki pedaish ki khabar susral walo ko de k dosary hi din beta wafat pa gya, susral walo ne kaha k ye tmhary waja se fot howa hai or report karny ka kaha.. isi doran mai maiky mai hi rahy or waqat guzarta gya or wolainy na aye Mery saas shugar or blood pressure ki marez thy or yaha tak k wo foot ho gai or mughay khabar tak na de or jo hi pata chala mai susral chali gai, wahan sb logon ne kaha tmhary do choty choty dewar hain orin ka tmhary siwa koi nahi hai or mai rok gai ammi ne bohat kaha ye log baz nahi aye gay lakin  mai ne on ka kaha na mana or wahan rok gay or ghar k sary kam karty or phir susar ne dosry shady karli or nai saas ne atay hi larai jhagry shoro kar diye or mughay maa k ghar baithny pr majboor kar diya, shohar itna ghairatmand na tha k mery bat sunta or haqiqat  malom  karta or is doran bety bhi barhy operation se paida howi, sirf shohar haspatal aye bachi barhy kamzor thy or os ko haspatal mai dakhil kia  or  shohar ko bar  bar phone kia k bety ki halat achi nahilakin phir bhi wo na aye  or  bety  bhi 2  mahinay bad  wafat pa gai, is k bad susral walo nemery jahaiz ka saman bhaij diya or sula ki koi koshish nahi k gai mai chahty hon k talaq na ho.

Wazifa::
    Insan ki zindagy or moat ka ikhtiar ALLAH karim ki zat ko hai  ham sirf zarori asbab ko istemal kr k apni tassali kar sakty hai is liye bachion ki paidaish per maa ko zimedar therana   ya in ki moat per walida ko saza daina jahalat hai koi bhi maa apni aulad ko takleef mai nahi daikh sakty phir moat ki sakhty to dor ki bat hai ALLAH hamy deeni samagh boojh ata farmai,choty moty batain to aty rahty hain is ko is tarah had se nahi barhnay daina chahiye balky sulah safai se kam laina chahiye jahan buzurg apni zimedarian pori karty hain wahan choty ghaltian nahi karty agar karty bhi hain to ziada nuksan nahi hota barwaqt is ki islah kar di jaty hai muashray ky begarh or bohat se gharano ki tabahi nojawan nasal ki gumrahi mai barhy buzurgin ka apni zemadarian pori na karna ya os se chasham poshi ikhtiar karna bhi shamil hai-  ap ya "YA WADODO" 125000 bar parhain jitnay afrad bhi parhain or jitnay din bhi lagain jab bhi parhnay bathain to awl o akhir sat bar "DAROOD E PAK" tamam afrad parhain jab ye wazzifa pora ho jai to "YA WAKEELO" 125000 bar parhain in sha ALLAH apka masla hal ho jai ga.

No comments:

Post a Comment