Hamara bhai saudi arab gya howa hai, 2 sal ho gai hain na rabta thik se karta hai or na hi pora kharcha ghar bhaij ta hai, Or gaon k jo log os ky sath hain wo bataty hain k kam kaj bhi thik se nai karta or jo kamata hai wo doston pr ora daita hai. walda is bat se bohat parishan hai. Koi aisa wazifa bata dain k wo thik ho jai or tawajah dy.
Wazifa::
kuch log intehai pabandiyon or sakhtion k bad jb on se chutkara paty hain to apni man mani shoro kar daity hain. Is liye bacho ki tarbiat zarori hai or phir khud se dor bhaijna chahiye. Wazify k tor pr "Ya Halimu" 313 bar parh kar ankhain band kr ky os pr dam karain awal o akhir 11 bar Darood e pak parhain.
By Molana Abdul Ghaffar Qadri
No comments:
Post a Comment