Log khilaf hain::

Hamary ilaqy mai kuch log aisy hain jo mery khilaf hain hr waqt mujhy nuqsan puhanchany k darpy rahty hain mery be izaty pr tuly howy hain kabhi ghalat fiqry kahty hain kabhi bacho ko kahty hain k osay galian do mai ne on ki hidayat ki bohat duain ki lakin wo thik nahi ho rahy mughay aik wazifa bata dain k ALLAH on ko taba kr dain ta k mugh se baz ajain baz log rait pr dam karty hain baz mirchon pr wazifa dam karty hain phir aag mai dalty hain wo kaisy karty hain.bohat taklef mai hon on ki waja se.

Wazifa::
Ghalat fikry kahna or tangkarny ki waja se kisi ki tabahi ka nahi sochna chahiye ham musalmano ko khas tor pr hamy apny mahbob Nabi Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ki sunnat pr amal karna chihiye onhon ne  apny jani dushmnon ko maf farma diya jinhon ne onhy zahar diya onhain maf kar diya, hamain bhi affo o darguzar se kam laina chahiye hr bat ka mun torh jawab, ient ka jawab pathar se daina hr halat mai acha nahi makhsos halat k ilwa aisa nahi karna chihiye ap in ki badua ki bajai apni kamyabi, hifazat or onki hidayat ki dua kijiye.mamoli baton pr kisi ki tabahi momin ka shewa nahi "Ya Manio" 436 bar parhain sirf ye dua karain ALLAH Karim on ko hidayat dy. In Sha ALLAH chand dinon mai ap ka masla hal hojai ga.
                                                                                          
                                                                                 By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment