Meray bachon k kanon mai dard hota hai.kan souj jaty hain or bohat takleef hoty hai.koi rohani ilaj bata dain.
Wazifa::
Bachay nazuk hoty hain. sardi k mosam mai in k galy kharab ho jai to kan mutasir ho jaty hain. achay children specialist ya ENT ko agar dikha sakty hain to dikha dain.Is k sath sath ye wazifa bhi jari rakhain in sha ALLAH ye masla khatam ho jai ga."YA SAMIO" 313 bar roi(cotton) pr parh kr dam kar k in k mutasira kan mai rakh dain. In sha ALLAH chand dinon mai afaka ho ga.
By Molana Abdul Ghaffar Qadri
No comments:
Post a Comment