Mergi (Epilipsy)::

Mughay bachpan se mergi hai bohat doray party hain kafi taklef mai hon, mery walidain ne bohat ilaj karwaya magar kuch afaka nahi howa. Mehrabani farma kar koi ilaj ya wazifa batadain k mera ye masla hal ho jai.

Wazifa::
Mergi aik bohat takleef de bimary hai jo k walidain ko bohat pareshan karty hai , marez ko to hr marz mai takleef haty hai. phir walidain ki tashwesh mai izafa hota jata hai, jab k marez beti ho is k mustakbil k mutaliq fiker mand hona walidain ki fitrat hai, ALLAH karim tamam walidain ki tashweesh ko dor farmai or tamam mareezon ko sehat yabi ata farami.. AAMEEN. Bator wazifa "YA SALAM" 1 lakh 25 dafa parhain, jitnay din bhi lagain ginnay mai or jitnay afrad bhi hisa laina chahy lain sakty hai. jb bhi parhny bathain to awal o akhir 7 bar "DAROOD E IBRAHIMI" parhain.

                                                                              By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment