Nafsiati Marz::

Mera bhai jis ki umar 30 sal hai zahni tor per kamzor hai pani ka istemal bohat ziada karta hai yahan tak k hath bhi souj gai hain  ye masla takreban 3 sal se hai pahly batain karta tha lakin ab agr thory se bhi taklef ho to bata nahi sakta is liye wo wazifa bhi khud nahi parh sakta.aisa wazifa batain jo walida parhain.

Wazifa::
Hr insan k sath farishta or shetan muqarar kiya gya hai farishta naik kamo ki talkeen karta hai or shaitan bury kamo k waswasi dalta hai.agar insan na paki ki halat mai ziada hai apny kapro,badan ki paki ka bilkul khyal na rakhay to os per shiatan hawi ho jata hai,waswasy is pr sawar ho jaty hai, is a behtaren hal pak rahna nemaz, rozay ka ahtamam karna or jab ghusal farz ho jai jald az jald ghusal karna chahiye bury waswaso ko nazar andaz karna hai is bat ka khas khyal rakha jai k agar bathroom or ghusal khana aik hi jaga hain to waha qaza a hajat se perhaiz kiya jai Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne hidayat bayan farmai hai k ghusal khany mai qaza i hajat se bacho q k am tor per waswasy is ki wajah se aty hain bator wazifa "LA hola wala qowata illa billa hil ali yel azeem" 100 bar rozana parh kr bhi ko dam karain awal o akhir 11 bar Darood e Pak parhain jab tak mukamal afaqa na ho jai wazifa jari rakhain.

                                                              By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment