Sar Ka Dard (Head Ache)::

Meri biwi k sar mai shadid dard rahta hai.pichlay sal  haspatal mai beta howa tha to wahan se garmi ki wajah se pankha laga tha.os k bad se thora thora dard shoro howa. kabhi dard km ho jata hai or kabhi barh jata hai.koi aisa wazifa bata dain k dard haimaisha k liye khatam ho jai.

Wazifa::
Ahtiat achi chez hai.tajriby se sabit hai k in dinon mai  khwateen ki thory se be ahtiaty onhain taweel arsay ki takleef mai  mubtla rakhty hai.agar che baz doctor is se inkar karty hain jab k ye haqiqat hai k medical research abhi tak is bat tak nahi pohench saki ya baz doctors ka ilam yahan tak na pohanch saka k ainda ahtiat se kam lain. Jahan sar mai dard hai wahan dain(right) hath ki shahadat ki ungli se aik bar "Bismillahirrahmanirrahim" likhain or likhny k doran zuban se 9 bar parhain or phir dam karain or
wahan sath bar "Ya ALLAH" bhi likh kar dam karain.

                                                         By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment