Sharab noshi se door rahain::

Hamara afaqi mazhab islam sara sar bar haq hai or sharab se mukamal ijtenab ka hukam daita hai.ahl e maghrib agar che kasrat sharab noshi k nuksan se agah ho chukay hain lakin wo ab bhi ye samajhty hain k is ki thory miqdar sehat ko nuksan puhanchaty hai ta hm wo din door nahi k wo bhi ye mannany pr majbor ho jain gay k "Um ol Khabais" ki mamoli miqdar bhi sehat kliye nuksan hai.maghriby dunia k tibbi mahereen bhi yehi manty hain k ziada sharab noshi se baz makhsoos aqsam k cancer or jiger k amraz k ilawa high blood pressure ka khatra bhi barh jata hai.in ka ye kahna hai k agar logon ne kasrat mai noshi k khatrat se agah kiya jai or alcohol masnoat pr tax lagai jai to sehat barbad krny wali is adat ko kisi had ta qabo kia ja sakta hai.ye hamari bad kismaty hai k mulk mai sharab nashi ka rojahan halia dinon mai qafi ziada barhta howa daikha gia hai.

No comments:

Post a Comment