Waqt Ki Pabandi::

Mujh mai waqt ki pabandi ki adat nahi hai nimaaz rozy ka ahtamam karta hon lakin paband nahi hon,choty barhy mai tameez bhi karta hon.koi wazifa bata dain k waqt ka paband ho jaon.

Wazifa::
Waqt ki pabandy ka taluq qowat e iradi se hota hai.agar ap k andar qowat e iradi mojod hai to apny irady ko amly jama pahna sakty hain, Qowat e iradi k liye "Ya Azizo" 100 bar parh kar khud pr dum karain.fajar ki nemaz k bad wazifa parhna ziada bahtar hai, awal o akhir 7 bar "Darood e Pak" parhain, jis kam ka irada karain "In Sha ALLAH" zaror parha karain apny dil mai pukhta irada  or ye aqeeda bana lain agar ALLAH ne tofeeq ata farmai to ye kam zaror karonga phir zarori asbab ko bhi ikhtiar karain. In Sha ALLAH ap k andar qowat e iradi mazboot hogy or hr kam waqt per sar anjam dain gy.

                                                                                       By Molana Abdul Ghaffar Qadri

No comments:

Post a Comment