Ziabetus ka ilaj::

Is waqt na sirf taraqi yafta balky taraqi pazeer mumalik bhi motapy ki lapait mai hain.kahty hain k mutapa or ziabetus mai gahra taluq hai or ye wo bemarian hain jo amraz e qalb, amraz e gurda or on degar bemarion ka khatra barha daity hain jin se zindagi ki muhlat ghat sakty hai.jaizon mai ye daikha gya hai k tarz e zindagy mai agar masbat tabdeelian lai jain maslan km mithas wali sehat bakhsh ghazaon ka intekhab kiya jai or jismani sar garmion pr tawajah di jai to ye khoon mai shakar ki satah ko aitedal mai rakhny mai wohi kirdar ada kar sakty hai jis tarah dawain asar andaz hoty hain.

No comments:

Post a Comment